pyar karo ..pyar ki koi hadd nahi hoti.. Do dilon ke bich sarhad nahi hoti.. Dilbar ko to sabhi chahte hai ..Bewafa ko chahneki kismat sabhiko nahi hoti...
Prem ek kala hai jismai har koi nipurn nahi hota Prem ek nishtha hai jo har wyakti ke paas nahi hoti Prem ek ehsaas hai jise koi koi hi mehsoos kar sakta hai Prem ek tapsya hai jo har koi nahi kar sakta Prem ek anubhav hai jo prempath per chal kar hi hota hai Prem ek tyag hai jo har kisi ke baas ka nahi Prem ek aadhar hai jis per jeevan tika hai Prem ishwar hai jo pooja se prapt hota hai Prem jwala hai jo sansar ko bhi jala sakti hai Prem ****al jal hai jo krodhagni ko bhi bujha sakta hai Prem ek pyaas hai jo kabhi nahi bujhti
prem mein shradhha jaroori hei. kyonki shradhha bina pyar adhura hei.. jaise bhagwaan kee pooja shraddha se ki jatee hei bina kisi fal key, vaisey hee shraddha pyar ko nee-swarth banatee hei..
sach ye bhi hai ki PREM shabdo/lafzo se pare hai jisko jubaan se bayan nahi kiya ja sakta... sirf mahsoos kiya ja sakta hai..